Mujhe bolna bahot pasand hai
Par sirf unse jo mujhe sunnaa pasand karte ho..
Warna toh phir mai khamosh hi milunga tumhe sada
Mai baat bebaat par jyada bat nahi karta
Mai chup ho jata hun jab lagta hai ki
Samne wala mujhe nahi sunta
Han thoda ajeeb sa hun mai
Par kya karun aisa hi hun mai…
Mai jinke jhuth ki kadar kar leta hun
Unko lagta hai mujhe bewkuf bnana aasan hai
Darasal mai uljhna nahi chahta
Bin matalb ki baton mein
Jinko apni batein manwani hai
Manwa le hami bharne mein
Mera kuch nahi jata
Agar tumhare dil ko tassali milti hai
Toh phir thik hai
Mai galat aur tum sahi
Wo kya na hai thoda ajeeb sa hun mai
Par kya karun aisa hi hun mai..